har ant ek nayee suruwat hoti hai.....ek nayee suruwat.....par is suruwat ka astitva aant ke pehle bitaye gaye samay pe hota hai.....bachhe ko v to is dhara pe aane ke liye nau mahine apni maa ki kokh main bitani hoti hai....sayad yahi is jindgi ki sachai hai...yahi iski hakikat hai....
main v ab ek nayee suruwat kar raha hun....ya yun kahu ki mayno ko samjh raha hun...apne astitva ko ek arth de raha hun....usko ek matlab de raha hun....isko v to ek subah kaha jaa sakta hai....suryodaya ki kirne dikh rahi to hain....lalima bikhar to rahi hain.....
ab bas arth samajhna hai.....
Friday, June 5, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment